To aapko pata hoga ki business karne wale logon ki sankhya aaj ki date mein dheere-dheere badh rahi hai wo bhi Bharat ke andar Lekin kya aapko ek baat pata hai ki yeh business karne wale logon ki sankhya aath se pehle Bharat mein itni nahi thi kyunki pehle log jo hain aur aaj bhi humare desh mein humare India ke agar hum baat karte hain to humare India mein aaj bhi log seekar naukri ko dhoondhte hain aur seekar naukri wo isliye dhoondhte hain taaki unke paas ek stable source of income hamesha rahe Jaise wo kya hota hai ki unko hamesha unke saptahik ya fir jo bhi maasik unki aay hai unko unke samay par milte rahe Lekin aise mein yahan par kuch log jo hain jo vyapar karke kahin na kahin apne business ko aage badhana chahte hain aur apne business ko uss mukaam tak lekar jana chahte hain jisse humare logon ko jinka stable source of income ki lat lag chuki hai unko bhi is baat ka dheere-dheere jo hai ek motivation mile unko yeh samajh mein aaye ki sirf ek salary basis par naukri karna sahi nahi rehta hai aur kahin na kahin khud ka vyapar karne mein kuch do cheezon ki aapko bahut zyada faayda milta hai jismein pehla faayda hai to yeh hai ki insaan apne usse routine work se hat jaata hai kuch naya karne ka mauka milta hai aur doosri baat agar wo apne kaam mein safal ho jaata hai to usko jo hai paison ki kabhi bhi dikkat nahi hoti hai paisa uske paas unki limit se zyada hi unke paas aa jaata hai kyunki wahan par wo business kar rahe hain wo kisi ki samasya ka samadhan dekh rahe hain
Lekin itni saari cheezon mein jahan par hum baat kar rahe hain ki samasya ka samadhan kar rahe hain business kar rahe hain naukri kar rahe hain lekin yahaan par baat agar paison ki aati hai to hum paison ko jama kahaan karte hain? Haan paison ko agar main jama karne ki baat ho to in paison ko jama karte kahaan hain? Aakhir jama karne ke liye agar baat aayegi to sabse pehle aata hai officially jo bhi humara jis par bahut zyada bharosa hai humara bank humara aisa bank jismein hum log apni zindagi bhar ki kamai rakhte hain aur humse businessmen log jitne bhi naukri pesha log hain unki jo salary hai har mahine unki salary account mein jaati hai Theek hai lekin iske alawa jo log vyapari hain unke liye bhi khata hota hai To ek baat batao jo vyakti apni salary ko salary account mein daal raha hai koi bachcha ya fir koi bachche se lekar buzurg tak koi bhi apne paison ko bachana chahta hai to apne usse paisa ko bachane ke liye wo bachhat khata kholna hai To yahaan par apne do account ko samjhaya jahan par ek hota hai aapka bachhat khata ek hota hai aapka salary account Lekin kabhi aapne yeh socha hai ki businessmen jo itni zyada paison ki len-den karte hain unke paison ki jo aayi hain agar hum ek din koi notice karein to bahut zyada sankhya mein hoti hai Ab aise mein normal bachhat khata ya normal savings account ko agar koi vyakti open karta hai to aapko is baat ka to andaza lag jaayega ki bachhat khata ka to limit ekraas kar jaayega ya fir kahin na kahin uska bank free ho sakta hai To usse kaise mein wo kaun sa khata open karta hai jisse unka paison ka len-den bana rahe to aaj hum baat karne wale hain unka paison ka len-den jo ekdum sahi rahta hai wo rahta hai chalu khata ki wajah se Haan chalu khata ka matlab yeh nahi hai ki yahaan par bank chalu rehta hai to isliye chalu khata hai Chalu khata sabhi ke sabhi account active hi rehte hain Lekin agar chalu khata ko Hindi mein dekha hai to usko current account kehte hain jinhe hum normally yahaan par businessmen logon ke nazariye se dekhte hain kyunki business karne wale jitne bhi log hain apne farm ke naam par apne entrepreneurship ke naam par apni company ke naam par ya fir apni organization ke naam par hi apna current account open karte hain aur uske baad jaakar jo hai jitne bhi paison ki len-den hoti hai chahe paisa aata hai chahe paisa jaata hai uska poora hisaab jo hai apne uss khate se wo karte hain
To aaj ke is post mein aap samjhne wale ho ki kaise aur ke yani ki AU Small Finance Bank ke andar aap log apna jo agar current account open karna chahte ho ya nahi chalu khata open karna chahte ho to aap log apna chalu khata kaise open kar sakte ho kyunki chalu khata kholna aaj ki tareekh mein bahut aasan hai ya aasan to main yeh bhi kahoon ki aap log ghar baithe chalu khata open kar sakte ho aur wo bhi AU Small Finance Bank ke andar Lekin aap logon ke dimaag mein kaafi saare sawaal aa rahe honge ki pehle ke time par jab hum log khata open karte the tab humein bahut saare dastavezon ki zaroorat padti thi To aisa nahi hai ki agar hum yahaan par khata kholne ki baat bhi kar rahe hain to yahaan par aapko dastavezon ki zaroorat padegi nahi Agar koi vyakti aapko aisa keh raha hai ki dastavezon ke bina hi hum aapko khata khol kar denge to wo jhooth keh raha hai Haan yeh baat zaroor hai ki khata ab aapko physical taur par yani ki bhautik roop se aapko kahin kisi shaakh par jaakar dena nahi hota kyunki aaj ke digital India ke zamaane mein agar sab kuch online ho chuka hai to jaahir si baat hai aapka dastavez bhi online ho chuka hai To yeh kehna to jhooth rahega ki dastavezon ke bina kaam ho jaayega Dastavez to liya jaa raha hai chahe wo bhautik roop se liya jaaye ya fir online madhyam se liya jaaye Lekin yahaan par agar hum baat kar rahe hain is cheez ko samjhne ke liye ki yahaan par hum log apna khata kholenge to hum AU Small Finance ke andar kholne wale hain aur wo bhi hum apne dastavezon ke hisaab se hi kholne wale hain to kaise kholenge iske upar hum baat jaanege

AU Small Finance Bank Chalu Khata Kya Hai?
To sabse pehle bata do AU Small Finance Bank ke andar koi ek prakaar ka aapko chalu khata dekhne ko nahi milta Haan agar koi aapko yeh keh raha hai ki keval ek prakaar ka chalu khata hai to kehna galat hoga Chalu khata ke kaafi saare aapke products uski kaafi saari categories uske kaafi saare aapko aur bhi cheezein dekhne ko milti hain jiske andar kaafi saare faayde hote hain kaafi saare ab aapka business ke according bhi kuch current account ko design kiya jaata hai jisse hota yeh hai ki logon ko kaafi had tak samajh mein aata hai yeh cheez Lekin is baat ko bhi samajh mein aapko aana chahiye ki agar hum proper taur par baat yeh kar rahe hain ki hum ise ghar baithe apna chalu khata kholna hai to wo online current account ki madad se hi ho sakta hai aur yeh AU Small Finance Bank ki madad se bilkul sambhav hai ki aap log apna ghar baithe hi chalu khata khol sakte ho aur wo bhi online Lekin ismein kitna paisa aapko jama karna padega in sab ke upar hum baat to zaroor karenge lekin pehle main bata du ki chalu khata kya hai jinhe samajh mein nahi aa raha haan halanki upar humne charcha ki hai lekin agar bahut hi mere ko ek sankshipt mein kehna hoon is baat ko to main yeh kahunga ki yahaan par chalu khata ki koi bhi vyakti jo hai apne vyaktigat taur par apna chalu khata khol sakta hai ya fir koi agar vyavsay karta hai ya fir koi kisi ka apna dhanda paani hai koi bhi vyapar se juda hai koi bhi business se juda hai to wo bhi apna chalu khata khol sakta hai jisse kya hota hai ki in saare current accounts mein jo paison ki len den hai wo kaafi zyada hoti hai aur kyunki paison ki len den ki sankhya zyada hoti hai to usko manage karne ke liye dekhne ke liye kabhi-kabhi transaction exist limit ki bhi aati hai kyunki aapne dekha hoga salary account ya savings account ho ek limit ke baad aapko kabhi na kabhi jo hai ek notification ya suchna mil jaati hai lekin current account ke case mein wahan par utni limit ya fir utni seema badha di jaati hai ki sabko pata rehta hai ki agar vyavsay ke liye khata khola gaya hai to iski limit kya hai ya iski jo hai seema kahaan tak ja sakti hai To current account ko basically ek normal khate ki tarah hi hota hai lekin isko aam taur par khola jaata hai vyapariyon dwara udyam pattiyan dwara ya fir koi na koi job kisne kisi prakar ke business se lena dena jiska hota hai
AU Small Finance Bank Chalu Khata Ke Kitne Prakar Hote Hain?
To aapko bata du sabse pehle to AU Small Finance Bank ke andar chalu khata ka jo pehla prakar dekhne ko milta hai yeh aapka Aur Royal Business Program hai Is chalu khata ke andar aapko jo hai bahut saare benefits aur bahut saare features dekhne ko mil jaate hain lekin yahaan par jo agar baat karte hain ki kitne rupay ki zaroorat hai kitne balance requirement ki zaroorat hoti hai to woh hoti hai yahaan par takriban ₹5 lakh ki
Iske alawa ek doosra aapka chalu khata hota hai AU021 Program iske tahat yahaan par aapko jo hai jo bhi startups hote hain jinhone haal hi mein apna business karna shuru kiya hota hai woh simply taur par yahaan par apna khata open kar sakte hain Aur yahaan par jo balance requirement ki zaroorat hoti hai woh hoti hai ₹1 00 000 tak ke liye jisme chhoot bhi hoti hai shayad 3 saal ke liye
Iske alawa ek aur aapka chalu khata dekhne ko milta hai woh bhi Aur Royal Business Program ke andar hi aata hai lekin uske andar jitne bhi doctor hain woh open kar sakte hain Iske alawa doctor ke alawa bhi yahaan par jo bhi agriculture yani ki kheti baadi ke kshetra se juda hua hai woh bhi apna chalu khata khol sakte hain Ya ek aur Royal Business Program ke andar hi aata hai aapka yahaan par Pharma Industry yani ki jo bhi medical ya phir jo bhi yahaan par health ya health ke len-den mein hota hai unke liye to yeh log bhi apna chalu khata khol sakte hain Aur ant mein aata hai aapka Thekedaar (jo building vagairah banate hain) yeh bhi apna chalu khata khol sakte hain Iske alawa ab baat karte hain
Dusra aapko chalu khata hota hai woh hota hai Aur Platinum Business Current Account Iske andar kam se kam bhi to balance requirement rakhni padti hai ₹1 lakh tak ki
Iske alawa aapka agla jo chalu khata hota hai woh hota hai Aur Swadesh Current Account
Aur iske baad aapka jo agla chalu khata ka prakar mein se aata hai woh hai Aur Regular Current Account Isko aam taur par jitne bhi nagrik hain woh zyada tar khulwate hain kyunki iska sabse bada karan yeh hai ki yeh basic yani ki samanya logon ki pakad mein aata hai kyunki yahaan jo paise rakhne ki jo rakam hai woh ₹5000 se shuru hoti hai aur ₹5 lakh tak jaati hai Ab har kisi ke apne-apne faayde aur upyog ke hisaab se yeh amount wahaan par decide kiya jaata hai
Iske alawa agla jo chalu khata aata hai woh aata hai Aur Vishesh Current Account ke naam se
Aur ant mein aata hai aapka Aur Digital Current Account jiske tahat hum puri article ko likh rahe hain aur post kar rahe hain aur aap jo padh rahe hain abhi to yahaan par Aur Digital Current Account ke baare mein hi hum baat kar rahe hain jahan par hum log ghar baithe hi apna chalu khata khol sakte hain aur yahaan account kholne ke liye kisi bhi prakar ki paise ki zaroorat nahi hai jisko hum yeh bhi keh sakte hain ki yahaan aapka chalu khata kholna utna hi aasaan hai jaise aap ghar baithe chalu khata kholna chahein to zero rupees yani ki zero paise aur matlab ₹1 ki bhi koi bhi aapke yahaan par paise ke len-den nahi karni hai kisi bhi prakar ka balance requirement ki zaroorat nahi hai
Aur ant mein aata hai aapka ek aur chalu khata jo ki hai Aur Power Current Account
AU Small Finance Bank Chalu Khata Kholne Ke Kya-Kya Faayde Hain?
To sabse pehle agar hum faayde ki baat yahaan par kar hi rahe hain to yahaan par pehla faayda to yeh hai ki yahaan par kisi bhi prakar ka aapko apne chalu khata ko maintain karne ke liye ya fir sakriya rakhne ke liye aapko yahaan par kisi bhi prakar ka paise mahine ke taur par hafte ke taur par saal ke taur par nahi dena padega yahaan par Zero Balance Account open hota hai
Iske alawa yahaan par faayde ki baat karein to yeh jo aapka chalu khata khulne wala hai yeh normal sabhi khaton ki tarah hi hai jismein aap apne paise ki len-den kar sakte ho Iske alawa digital payments ko bhi receive kar sakte ho
Iske alawa aapke yahaan par 24/7 yani 24 ghante saaton din aap apne jitna bhi nagad jama karna chahte ho jama kar sakte ho woh bhi online bhi kar sakte ho ya fir shaakh par jakar bhi kar sakte ho
Shuruaat ke samay mein yahaan par agar hum baat karein ki chalu khata jab kholte ho to yahaan par kitna paise aap jama karne ki aapko seema milti hai to yahaan jo paise jama karne ki jo seema milti hai takriban ₹3 00 000 tak aapko jama karne ka yahaan par seema mil jaati hai
Iske alawa yahaan par aapko Aur ki taraf se jo aapka chalu khata hai usmein aapko free aur ki taraf se QR Code aur API ke options milte hain jisse aapko paise ke len-den karne mein aur zyada aasanai ho sake
AU Small Finance Bank Mein Chalu Khata Mein Kitna Paise Jama Kar Sakte Hain?
To jaise ki maine aapko shuruaat mein bataya ki agar apne haal hi mein apna Digital Current Account yani ki AU Small Finance Bank Mein Zero Rupees Mein Chalu Khata open kiya hai ghar baithe hi to yahaan par shuruaat mein jo seema milti hai woh takriban ₹3 00 000 tak aapko dekhne ko mil jaati hai
Aur ho sakta hai ki jaise-jaise aapki len-den badhe aapki seemayein badhaayi jaaye Lekin ho sakta hai ki agar aap apne jo is seema se upar ke paise jama kar aate ho to shayad kisi prakar ke agar shulk lagta hai to shayad aapko dena pad jaaye agar yahaan par zaroori nahi hai to aapko dene ki bhi zaroorat nahi padti
AU Small Finance Bank Mein Chalu Khata Se Paise Kaise Nikale?
Dekho aise to kaafi saare tareeke hain aapko ki aap log aapka agar paise chalu khata ke andar woh bhi AU Small Finance Bank ke andar aata hai to aapko kisi bhi tarah ki koi dikkat lene ki waise koi baat nahi hai kyunki yahaan par chalu khata hai ho ya fir koi bhi khata ho aapko Debit Card ka option milta hai jisko hum ATM Card bhi kehte hain To zahir si baat hai agar aapka jahaan AU Small Finance Bank ka ATM mile ya na bhi mile koi doosre bank ka bhi ATM mile to aap jakar wahaan se apne paise ko ATM ke through withdraw kar sakte ho yani nagad mein nikaal sakte ho Yeh to ho gaya pehla tareeka
Doosre tareeke ki yahaan tak main baat karta hoon to woh hota hai aap online hi apne paise ko nikaal sakte ho jo aaj ke daur mein sabse zyada aasan bana chuka hai To aisa bilkul bhi nahi hai ki agar aap apne paise ko yahaan AU Small Finance Bank ke andar chalu khata ke andar rakhte ho to aapko paise nikaalne mein kisi bhi prakar ki dikkat hogi koi bhi dikkat nahi hai Iske alawa aap Cheque vagairah bhi issue kar sakte hain
AU Small Finance Bank Chalu Khata Mein Cheque Book Kaise Milega?
aasan cheez hai agar aapka chalu khata bhi agar open hua hai woh bhi online mein AU Small Finance Bank ke andar to aap simply apply kar sakte ho ya simply apply avedan de sakte ho jisse aapko aapka cheque book jo hai ghar baithe hi receive ho jaayega Ya fir aap apne jo nearest apne jo apna shaakh kas kiya hai khata kholte waqt wahan par jakar bhi aap apna cheque book le sakte hain Ho sakta hai shuruaat ke samay mein yeh cheque book aapko ekdum shulk mein free of cost milne ki kisi bhi prakar ka shulk na lage Lekin agar aap apne diye gaye page ke alawa agar naya page ya fir naya cheque book chahte hain to usmein shulk dena pad sakta hai
AU Small Finance Bank Chalu Khata Par Lagne Wale Shulk?
Ab dekho shulk ki agar hum baat kar rahe hain to bank jaise ki agar hum koi bhi bank ki baat kar le jo India ka number one bank bhi hai ya fir koi bhi kahin ka bhi bank ho shulk to har jagah lagte hain chahe woh aapki kisi bhi cheez par ho Lekin aisa nahi hai ki yahaan par shulk lagta hai to bohot zyada ghaati ki cheez hai woh shuru lagta hai kyunki aapki upyogita hi itni zyada hoti hai
Jaise agar hum sabse pehle shuru ki agar hum baat karte to yahaan par sabhi bank mein agar aap notice karenge to chalu khata open karne par aapko ek monthly balance maintain karna padta hai Yahaan par aap usko shulk nahi bol sakte hain kyunki wahaan par aapko utna paise rakhna padta hai tabhi aapka khata sakriya rahta hai lekin AU Small Finance Bank ke andar aisa nahi hai specially yahaan par Digital Current Account ke case mein to bilkul bhi nahi hai Lekin agar jo hai agar baaki ke benefits ya services ka istemal kar tab jaakar aapko ho sakta hai ki shulk ka bhugtan karna pade
Ab jismein pehle shuru ki agar hum baat karte to pehle shulk aata hai aapke nagar jam ke agar aap chahe to apne paise ko chahe to kitna paise hai woh online ho ya fir shaakh par jakar ho Lekin doosri baat yeh bhi hai ki aapko sirf aur sirf ek seema se zyada agar aap apne paise ko jama karte hain to aisa nahi hai ki aapka wahan par paise jama karne se mana kar denge lekin aapko aapke seema ke upar ke jitne bhi aap paise jama karenge unke upar aapko lagne wale shulk ko bhugtan karna hi padega
Iske alawa agar aapke alag-alag Nishulk ki baat karein to agar aap NEFT Payment ke branch shaakh par jakar agar uska jo payment karte ho NEFT Payment karta se to uska agar aap 1 lakh ke andar andar tak agar aap bhugtan karte ho to aapko ₹2 har payment par karna padega ya har transaction par karna padega Aur agar aap 1 lakh se zyada karte hain to ₹10 per transaction ya per payment aapko karna pad sakta hai
Cheque book ke case mein agar hum baat kar le yahaan par to aapko shuruaat mein to free milta hai har mahine Lekin agar aapke baad ke agar aap kuch cheque book ki zaroorat padti hai to ₹2 per page ke hisaab se aapko uska bhi bhugtan karna pad sakta hai
Maan lo ki aapne kisi vyakti ko cheque book ke through jo hai apna ek cheque kaat ke de diya taki woh jo hai aapke khate se paise le sake aaram se kyunki aapne bhugtan kiya hai lekin kisi bhi aise karan ki wajah se agar aapko usse cheque ko rokna padhe ya stop payment karwani padti ho to stop payment ko karne ke liye ₹50 lag jaayenge aapke shulk ke taur par
Iske alawa aapka ek alag charge ki aap ATM se chahe to utna aapka jo hai nagad nikaal sakte hai jitni bhi aapko seema mili hui hai lekin agar yah paanch baar se zyada karte hai to aapko panchvi baar chhathi baar ke baad mein aapko 23 rupay har transcation mein lagenge..!!
AU Small Finance Bank Mein Chalu Khata Kholne Ke Liye Patralta Ya Yogyaata?
To dekhiye waise to koi mukhya yogyaata ya koi vishesh yogyaata ki zaroorat nahi hoti yahaan par agar koi vyaktigat taur par bhi vyakti hai wo bhi apna yahaan par koi agar kisi aur kaam mein hai to wo bhi apne yahaan par khata khol sakta hai
Iske alawa sabse pehle aapka dhyaan rakhna chahiye aap Bharat ke ek nagarik hone chahiye
Saath hi mein aapko is baat ka pata hona hai ki aapke paas jitne dastavej ho jisse aapki patralta ya fir aapko jaanne mein aasanai ho un sabhi ko aapke paas hona hoga ya aapke paas wo cheez hona chahiye
Iske alawa aapki umra kam se kam chalu khata se kam se kam aapki umra 21 saal ya usse zyada honi chahiye to jisse bahut zyada aapko faayda hoga
Ab agar aap apna chalu khata ise khol rahe hain taaki apne vyapar ko sambhal sake ya vyapar ki len-den ke liye khul rahe hain to yahaan par aapke paas vyapar se sambandhit bhi dastavej hone chahiye
Saath hi mein aapke paas jo hai aapka Aadhaar card aapke khate yani ki aapke mobile number se juda hona chahiye jisse hoga kya ki aapki chalu khata ko online kholne mein kaafi had tak aasanai hogi

AU Small Finance Bank Mein Apna Chalu Khata Kaise Kholen Online?
To sabse pehle aapko karna yeh hoga ki aapko AU website par jaana hoga
Wahaan par aapko chalu khata wale kshetra ko kholna hoga
Iske baad andar aapko digital current account ka option milega
Us option par yani us vikalp ka chayan karke aapko neeche hi kahin to “Avedan Karein” jaisa button dikhega uspe aapko click karna hoga
Click karne ke saath hi aapko agle step mein yahaan par pehle choose karna hoga ki aap vyaktigat taur par is khata ko kholna chahte hain ya is prakar ke vyavsay ya udyami ke kshetra ke liye
Aapko apna PAN card ka number daalna hoga
Iske baad aapka Aadhaar card aapke mobile number se juda hua hai us mobile number ko dena hoga
Uske turant neeche aapko Aadhaar card option milega wahaan par aapko apna 12 sankhya ka Aadhaar card number dena hoga
Iske turant baad ko jis jagah rehte hain wahaan ka PIN code aapko dena padega
Turant baad aapko Terms and Conditions ka ek button milega uspe aapko click karna hoga
Turant baad aapko apna ek vyaktigat jankari ka poora ka poora form aayega usse poora bharna padega Agar aapne vyaktigat ke alawa vyavsay ya udyami ke kshetra mein bhi apna yahaan par chalu khata kholne ke liye avedan diya hai to aapko apne vyapar sambandhi bhi jankari wahaan par bharni hogi
Iske alawa aap jab saari jankari ko bhar lenge tab kuch dastavejon ko aapko dena padega jismein sabse pehle aata hai aapka Aadhaar card se KYC jisko aap apne mobile number se jude hue mobile number ke madhyam se hi online complete kar sakte hain
Iske turant baad aapko apni selfie deni padegi jisse aapka chayan ho sake ki haan aap waake mein wahi vyakti hain jo is khata ko khol rahe hain
Uske baad video KYC verification kiya jaayega jiske tahat saamne koi vyakti rahega jo aapko apna PAN card dikhane ke liye rahega aur saath hi mein aapko unke saamne hi ek paper par signature karna padega jisse hoga yeh ki aapka account ya khata poorn roop se open hoga
Aur antatah aapko ek baat ka salah diya jaayega ki aap log kuch paisa iske andar abhi jama kar dijiye taaki aapka AU Small Finance Bank ke andar chalu khata abhi sakriya ho jaaye
Kya AU Mein Apna Chalu Khata Kholne Ke Liye Vyapar Ka Hona Zaroori Hai?
To iska uttar hai bilkul nahi Aaj koi bhi kisi bhi prakar ka koi bhi dhanda ya koi bhi vyapari ya koi bhi vyavsay nahi hai ya fir aap kisi tareeke se udyami se jude hue nahi hain tab bhi khata khol sakte hain
Kya AU Mein Apna Chalu Khata Kholne Par Humein Wo Byaj Dega?
To iska uttar hai nahi Kisi bhi chalu khata chahe wo koi bank mein ho yahaan par aapko chalu khata mein agar aap apna khata rakhte hain to uspe aapko kisi bhi prakar ka koi bhi byaj nahi milta hai kyunki aaj ka system hai wo sirf aur sirf bachhat khata ke liye hi hota hai
Upsanhar
Aur ant mein aaj aapne jaana is post ke madhyam se ki kaise hum log apna chalu khata khol sakte hain wo bhi AU Small Finance Bank ke andar aur wo bhi bina kahin kisi shaakh par jaaye bina hum log ghar baithe hi is khata ko khol sakte hain jiske liye humein kisi bhi prakar ka program ki zaroorat nahi hai kyunki yahaan par zero balance hi account open hota hai