Equitas Bank Selfe Loan? | Equitas Bank Se Loan Kaise Le? | Equitas Bank Selfe Loan Apply Online?

Dosto!! Bank kaafi sare aate hai lekin India ke andar logo ka sabse zyada trust kisi organisation par rahta ha to usk naam hai banks mein jisme log apne jivan bhar ki kamai ko jama karte hai aur usi bharose se ki hamesha unka paisa surakshit rahega aur esa nahi ha ki nahi rahta rahta bhi hai aur banking system mein logo ke bharose se hi banks ki buniyad bahut acchi hoti chali gayi hai hamare bharat desh ke andar aur aapko pata hai yah bhi banks kewal paisa aapka jama nai karte hai wo aapko aur bhi services like loan investment security jaisi chije bhi muhaiya karati hai jisse log apne jis banks mein unka account rahta hai wo unke provide kiye jane wale service ka laabh bhi uthate hai aur reports agar aap dekhe specially india ki to aap iss baat ko acche se jaan paayenge ki bharat ke andar logo ko loan ki sabse zyada zaroorat hoti hai aur uss service ko sabhi banks provide karwati hai lekin aapko yah bhi samjhna hoga ki aap loan to lena chahte hai thik baat hai lekin loan lena kis category aur kis product ke tahat lena chahte hai

Jaise udaharan ke liye India ke andar sabse zyada personal loan liya jaata ha halanki uske reasons different ho sakte hai sabhi ke alag alag lekin loan ke andar sirf personal loan hi nahi 

Read More : https://nowah.in/au-bank-digital/

Equitas Bank Selfe Loan Kya Hai? / What Is Equitas Selfe Loan

Toh aapko bata dein ki Equitas Bank ka jo Selfe Loan wala yeh jo ek product hai yeh ek tarike ka mobile application hai jisko aap aam taur par ek app ke taur par ya toh ek application jo aapke phone mein aap isko install kar sakte ho Aur yeh ek prakar ka ek aisa application hai jismein Equitas Bank dwara diye jaane wale sabhi loan products ek baar mein aapko ek jagah dekhne ko mil jaayenge Jaise udaharan ke liye Selfe Loan ke andar aapko personal loan bhi dekhne ko milta hai toh iska matlab keval yeh nahi hai ki aapko sirf aur sirf personal loan milega Iske andar aapko home loan vehicle loan aur bhi tamaam tarike ke loan products dekhne ko milte hain Jiska saaf matlab yeh hai ki yahan par Selfe Loan koi ek alag prakar ka loan nahi hai balki yeh ek mobile application aapki suvidha ke liye banaya gaya hai Jis mobile application ka istemaal ya prayog karke aap log zyada se zyada anya jo aap loan lena chahte ho woh loan aapke yahan par uplabdh karaya ja sakta hai aur usko aap log apna istemaal kar sakte hain

Equitas Bank Mein Selfe Loan Kon Le Sakta Hai? | Who Take Equitas Selfe Loan

Toh sabse pehle main aapko yeh bata doon ki Equitas Bank mein Selfe Loan ke andar yahan par jo loan diya jaata hai woh tamaam tarike ke loan products ke andar aata hai Lekin jo zyadatar iske andar dhyaan ya kaha jaaye jo zyada focus rakha gaya hai woh iske andar un logon par rakha gaya hai jo kahin na kahin khud ka koi kaam karte hain jaise ki jisko hum self-employed bhi kehte hain Ya iske alawa un logon par zyada focus kiya gaya hai jo ek naukri pesha kshetra se nahi hain Ji haan naukri pesha kshetra se woh log nahi hain woh log khud ka koi na koi kaam karte hain jinko hum ya toh non-salaried mein consider kar sakte hain ya hum self-employed bhi keh sakte hain Ab is prakar ka loan lene ke liye aapko mukhya patrata yeh toh samajh mein aa chuki hai ki yahan par is loan ko lene ke liye aap logon mein se jo hain naukri pesha ke liye thoda kam focus kiya gaya hai lekin milta hai aur woh kin ko milta hai yeh hum bata chuke hain Ab aapko yeh batate hain ki yahan par jo alag-alag loan products hain woh loan kitne rupaye ka aur kaise aapko de sakta hai

Iss Selfe Loan ke andar hum yeh dekh paate hain ki yahan par zyadatar dhyaan un logon par rakha gaya hai jo kahin na kahin khud ka koi swayam rozgaar karte hain ya khud ke kisi na kisi kaam-kaaj se jude hain lekin woh kisi bhi prakar ki naukri nahi karte hain Kyunki aise case mein yahan par yeh dekha ja sakta hai ki yahan par jo log khud ke kaam mein jude hue hain unke business ko badhane ke liye unke dhandhe ko badhane ke liye unka vyavsay badhane ke liye jo bhi loan provide karwaya jaayega woh iss Selfe Loan ke andar humein dekhne ko mil jaata hai jo ki Equitas Bank dwara uplabdh ya muhaiya karwaya jaata hai

Iske alawa aapko yeh bhi yaad rakhna hai ki aapka pehle se iske andar khaata hona chahiye Equitas Bank ke andar Lekin iske do roop hain agar aapka khaata nahi bhi hai Equitas Bank ke andar tab bhi aap ek baar aavedan karne ki prakriya ko yahan par daal sakte hain

Iske alawa aapki umar kam se kam 21 se lekar 23 saal se zyada honi chahiye kyunki yahan par ek aayu ko lekar bhi pratibandh lagaya gaya hai jiske tahat yahan par jo logon ki umar 21 ya 23 saal se zyada hai woh yahan se loan lene ke yogya paaye jaate hain

Iske alawa aap logon ke paas yahan par jitne bhi zaroori kagzaat ya dastavez hain woh hone chahiye taaki loan ki prakriya ko poorn karte waqt yahan par inki zaroorat pad sakti hai

Equitas Bank Selfe Loan Kitna Milta Hai? | How much take Equitas Selfe Loan

Ab waise toh dekha jaaye Equitas Bank ke andar jo Small Business Loan hai uske andar bhi kaafi saare prakar ke loan paaye jaate hain Jiske andar hum ek do mukhya taur par business loans ko dekh paate hain doosra hum dekh paate hain iske andar Small Finance Loans ko Lekin iske bhi andar humein ek aur loan dikhta hai woh hai MSME loan Toh sawaal agar yeh aata hai ki yahan par jo Equitas Bank dwara Small Business Loan jo humein diya jaata hai kitne rupaye ka diya jaata hai toh reports ke anusaar ya sutron ke hawale se yeh pata chalta hai ki yahan jo bhi amount ka loan diya jaata hai uski sankhya takreeban  ₹500000 se shuru hoti hai aur takreeban ₹3 crore tak diya jaata hai

Aur iske alawa bhi Small Business Finance ya Small Business Loan ke alawa bhi ek aur chhota sa loan diya jaata hai un bahut chhote udyami ko ya bahut chhote business ya dukandaaron ko jo bahut chhote se star se abhi apne business ko shuru kiya hai Toh unko agar loan amount ke unke case mein baat kiya jaaye toh unko zyada se matlab kam se kam jo hai woh ₹2000 se lekar ke takreeban ₹5 lakh tak ka loan jo hai isliye diya ja sakta hai

Read More : https://nowah.in/idfc-vyapar-loan/

Equitas Bank Dwara Selfe Loan Par Byaz Kitna Lagta Hai? | Equitas Selfe Loan Interest Rate

Toh aapko bata dein yahan par agar byaaj dar ki baat karein toh yahan par maana jaata hai ki Small Finance Business Loan ke andar jo hai kam se kam yahan par 18% se lekar 26% ya usse zyada tak ke liye jo hai byaaj lagta hai aur yeh salaana taur par dekha jaata hai jisko hum per annum mein bhi count karte hain

Equitas Bank Dwara Selfe Loan Ka Repayment? | Equitas Selfe Loan Repayment

Toh aapko bata dein ki yahan par Equitas Bank dwara jab hum Selfe Loan ke andar mein Small Business Loan ko lete hain toh kisi bhi loan ki ek mukhya taur par ek mukhya bhumika yeh hoti hai ki agar humne loan liya hai toh usko hum ek byaaj par lete hain jo byaaj ke saath hum usko ek nishchit samay ke andar laut aate hain yani use wapas karte hain Kyunki agar hum use wapas nahi karte hain toh yeh vyavhaar ke andar bhi sahi nahi hai aur doosri baat yeh hai ki woh phir loan kehlata bhi nahi hai Toh yahan par agar hum mudde ki baat par yeh aayein ki Equitas Bank dwara jab hum Small Finance Loan ya Small Business Loan ya hum Microfinancing Loan Micro Business Loan lete hain aur woh Selfe Loan ke andar mein aata hai toh humein ise wapas kab tak karna hoga? Toh sutron ke hisaab se yeh maana jaata hai ki yahan par loan chukane ka samay zyada se zyada aapko 5 saal tak ke liye milta hai Lekin iska matlab yeh nahi hai ki jitne bhi yahan par aavedak aavedan karenge loan ke liye sabhi ko zyada se zyada 5 saal ka waqt milega Unke anusaar unki eligibility unki credit history aur bahut saari cheezon ke anukool dekhkar hi unko unke hisaab se bataya jaata hai ki aapke dwara liye jaane wale loan ko kab tak wapas karna hoga

Equitas Bank Dwara Selfe Loan Par Charges? | Equitas Selfe Loan Charges

Toh waise toh jab bhi hum kahin bhi kisi bhi prakar ka loan lete hain chahe hum personal loan lete hain ya hum business loan lete hain toh humne iss baat ko aksar gaur kiya hai ki wahan par tamaam tarike ke alag-alag prakar ke shulk lagte hi hain Jaise ki jab humara loan agar ₹5000 ka hota hai toh uske andar takreeban ₹500 se lekar ₹700 tak processing fees ke naam par kaat-ta hai Iske alawa byaaj dar toh humein alag se dena hi padta hai Ab agar hum isko yahan par Equitas Bank ke andar Selfe Loan ke andar Small Business Loan ke case mein dekhein toh yahan par bhi aapko jo hai charges lagenge jo aapko dena hi padta hai jismein sabse pehle aata hai aapka:

Processing Fees sabhi tarike ke loan ke andar lagta hai chahe woh personal loan ho chahe woh business loan ho ya phir kisi bhi prakar ka loan ho Zyadatar loan ke case mein processing fees lagta hai aur Equitas Bank ke Selfe Loan ke andar liye jaane wale loan ke andar iski pratishat 2% tak maana jaata hai jo bhi aapka loan amount ka hoga

Iske alawa aapka jo agla shulk banta hai woh hai yahan par Byaaj Dar Aur byaaj dar kisi prakar ka shulk ya charge nahi hai Yeh sabhi loan ke andar ek mukhya bhumika nibhata hai aur yeh vyavhaarik taur par bhi hai Agar aap kahin kisi prakar ka loan lete ho toh loan ka matlab yehi hota hai ki jitne samay ke liye use samay ke anukool jo pratishat decide kiya gaya hai uss pratishat ke andar aapko use jo hai byaaj lagakar uske mool dhan ko wapas karna hoga jo humein Equitas Bank ke Selfe Loan ke andar bhi dikhta hai

Iske alawa humara jo aakhri fee hai jo kahin na kahin humari galti ki wajah se hi lagega Agar hum galti na karein toh woh nahi lagega aur woh hai humara Late Payment Fees Jab bhi humari agar EMI banti hai aur agar hum apni EMI ko sahi samay par ya kaha jaaye nishchit samay par wapas nahi kar paate hain toh uss EMI par humein kahin na kahin jo hai late payment fee lagta hai

Aur in sabke alawa kisi aur prakar ka fee maine ab tak Selfe Loan ya Equitas Bank dwara diye jaane wale Selfe Loan ke product ke andar nahi dekha hai

Equitas Bank Selfe Loan Documents? | What Documents of Equitas Selfe Loan

Toh sabse pehle agar hum baat karte hain jo humein Equitas Bank ke andar Selfe Loan lene ke liye aur uske andar Small Business Loan lene ke liye kaafi zaroorat padne wali hai toh woh hai Application Form Application form paane ke do tarike hain ya toh hum yahan par seedha Equitas Bank ke andar jaakar Selfe Loan ke andar mein kaam karein Lekin ruko yeh toh hum saara kaam jo hai Selfe Loan yani mobile application ke madhyam se karenge toh humein online form mil jaayega

Uske alawa humein pehla dastavez chahiye hoga woh hai humara KYC Document Aur KYC document matlab hota hai Know Your Customer Document jiska saaf matlab yeh hai ki yahan humara iske andar aata hai sabse pehle:

Aadhaar Card jo ki kaafi zyada zaroori hai

Iske alawa humara PAN Card jo iski bhi ek mukhya bhumika hai kyunki hum kahin na kahin Small Business Loan le rahe hain aur PAN Card ki wahan zaroorat pad sakti hai

Thode aur dastavezon ki baat karein toh jaise Voter ID Card ho gaye toh inn sab dastavezon ki bhi shayad se zaroorat pad sakti hai lekin upar ke do dastavezon ki zaroorat toh padti hi wali hai

Iske alawa aapki kam se kam do passport size photograph honi chahiye Aur agar hum agar isko offline application form ke madhyam se na bhi dekhein toh online mein aapka jo selfie hai woh clear aur visible hona chahiye kyunki iski bhi kaafi zyada had tak jo hai istemaal ya prayog kiya jaane wala hai

Iske alawa aapka Business Registration Form yani ki aap jis business ke liye loan le rahe hain aapko dikhana padega ki aap uss business ke owner ho ki nahi yani aapka uss vyapaar ko lekar malikana adhikaar aapke paas hai ki nahi Toh yeh Business Owner Certificate ya Business Online License yeh sab business mein dikha sakte hain

Kyunki hum iske andar business loan ki baat kar rahe hain toh hum MSME ki bhi baat kar lein Toh agar aap MSME ke तहत loan lete ho toh uske andar aapke paas MSME Registration License ya Form ya phir MSME Registration Certificate jaisi cheez ho toh zyada achha rahega

Iske alawa agla dastavez aata hai aapka Address Proof jisko hum aapka pate ka proof bhi kehte hain Lekin jahan par aap log rehte ho uske alawa jahan par aapka business located hai yani ki jahan par aapka business yani vyavsay jahan par sthapit hai uss jagah ka aapko pata uska proof dikhana pad sakta hai Jiske liye aap apna Electricity Bill dikha sakte ho iske alawa Telephone Bill dikha sakte ho aur jitne bhi dastavez jo wahan ke patte ka proper taur par saboot de sakein woh dastavez dikhana pad sakta hai

Iske alawa aapko yeh bhi dikhana padega ki aap apne vyavsay yani dhandhe se kisi bhi prakar ka profit yani ki laabh kamaate hain Toh uske liye aap apna Bank Statement dikha sakte hain Income Tax Return dikha sakte hain ITR report dikha sakte hain GST Registration Certificate bhi dikha sakte hain jo ki kaafi zyada had tak dastavezon ko poorti karta hai

Equitas Bank Dwara Selfe Loan Apply Kaise Kare? | How to apply Equitas Selfe Loan

Toh iske liye sabse pehle aapko Equitas ke bank ke andar sabse pehle Selfe Loan application ko apne phone mein install karna hoga jiske liye aap apne phone ke Google Play Store mein jaakar Selfe Loan ko apne phone mein paa sakte hain

Iske baad aap logon ko sabse pehle uske andar sign-up karna padega Uske liye aapko apna mobile number chahiye Yaad rahein ki agar Equitas Bank ke andar aapka khaata pehle se hi hai toh aap apna wohi mobile number dekar simply sign-in kar sakte hain

Iske baad agle charan mein aapko sabse pehle wahan par aapko yahan par kaafi saare loan products dekhne ko mil jaayenge Unn jo products ke andar aayega Home Loan Vehicle Loan ya iske alawa yahan par Loan Against Property aur uske baad aapko dekhne ko milega Small Business Loan

Toh kyunki hum baat kar rahe hain yahan par Small Business Loan ki kyunki humein business loan hi lena hai toh iske liye hum yahan par sabse pehle Small Business Loan wale segment par jaakar phir uske andar Small Business Loan ke andar bhi kaafi saare products dekhne ko milenge jaise Microfinance Loan ya MSME Loan Toh humein jis prakar ka loan dekhne ko milega hum usko bhi choose kar sakte hain ya iske alawa hum Small Business Loan ko hi choose kar sakte hain

Iske baad humein uske andar jo hai sabse pehle apni Personal Details daalni padegi jisko hum vyaktigat jaankaari bhi kehte hain Iske andar humara naam humari janm tithi humara pata aur sabhi cheez humein wahan par batani padegi jisse humari personal jaankaari poori tarike se poori ho sake

Iske baad aapko batana padega aapke kaamkaaj ke baare mein jaankaari jisko hum apna vyavsay ke baare mein jaankaari ke taur par bhi keh sakte hain ya phir hum isko apne business ke information ke taur par bhi keh sakte hain jiske andar humara business ka organization ka naam humara address humara kab se humara business shuru hua hai uski establishment phir uske baad wahan par jitne bhi business related sawaal poochhe jaayenge ya phir jo bhi segment aayega hum use poora fill karna padega

Iske baad agli prakriya mein humein wahan par jo bhi document maange jaayenge chahe woh humare personal KYC ke liye document ho ya ho humare business ko lekar document humein unn document ko bhi dena padega

Aur ant mein jaate-jaate document upload kar denge tab finally humein jo hai wahan par submit ka button dikhega jis par hum jab click kar denge toh iska matlab yeh nahi hai ki humara loan aavedan ho chuka hai Humara jo loan ka jo poora process hai woh hum apni tarike se complete kar chuke hain aur iska jo agla check out hai woh Equitas Bank ke andar wahan ke customer executive karenge Agar aapko iss baare mein jaldi se jaldi pata lagana hai toh aap Equitas Bank ke shakha mein jaakar bhi pata kar sakte hain

Read More : https://nowah.in/ujjivan-kisan-pragati-card-kaise-le-ujjivan-small-finance-bank-kisan-pragati-card/

Nishkarsh | Conclusion

Toh jaise ki aapne aaj ke iss article ke andar jaana ki kaise kya hota hai aapka Equitas Bank ke andar Selfe Loan Bahut saare logo ko iss baat ko lekar shanka thi ki Equitas Bank ke andar Selfe Loan jo hai woh ek prakar ka personal loan hai ya ek prakar ka alag prakar ka hi loan hai jo baaki saare Equitas Bank ke andar upar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *